tay to karna tha safar, humko saberon ki taraf,
le gaye lekin ujale, hi andheron ki taraf,
ye jo duniya saath thi mere, subah se sham tak,
le gai wo sham dhalte hi luteron ki taraf,
jo samandar machliyon per jaan deta tha kabhi,
wo samandar hi ho gaya ab macheron ki taraf,
saap ne kaata jise ab uski taraf koi nahi,
log sapon ki taraf hain ya saperon ki taraf,
main tumhara sath doon bhi to kahan tak doon
main ujalo ki taraf hoon, tum andheron ki taraf,
dhoop ki pahchan to chat par sunai di lekin,
dhoop aayi hi nahi, munderon ki taraf,
meri pooja, mera mandir, maa hai meri,
khulta hai har rasta, jinse ujalo ki taraf...........
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment